Agar kabhi dard se gussa aa jaaye toh?
Log kehte hain — tu toh badtameez ho gaya.
Unko woh zakhmi dil kyon nahi dikhta,
Jo is gusse ki asli wajah ban gaya?
Iss dil mein kya aag lagi hai...
Magar kisko hai uss jalan ka ehsaas nahi?
Har saans pe taane milte hain,
Jaise kam kamana ho sabse bada paap ka raasta khaas.
Raat bhar... takiye mein chehra chhupa kar rota hoon.
Dard mein bhi khud ko chhupata rehta hoon.
Subah 3-4 baje tak... aansuon ki baarish hoti hai.
Par kisi ko kya, main to chupchaap rota hoon.
Phir bhi... subah uthkar... sab bhool jaata hoon.
Unki ek muskaan pe sab kuch lutaa deta hoon.
Unki khushi meri pehli soch hoti hai.
Main har baar toot kar bhi unko poora pyaar deta hoon.
Maaf kar deta hoon... har baar maaf kar deta hoon.
Chahe dil mera raat bhar chillaata rahe.
Aur badle mein? Phir wohi... gali.
Jaise meri wafa hi meri sabse badi khata hai.
Shayad... shayad iss akelepan mein hi meri saans tham jaaye.
Aur duniya soch bhi na paaye, koi khwab yunhi dhadkan se chhoot jaaye.
Aur kisi ko... kisi ko ehsaas bhi na ho.
Ki ek zinda insaan khamoshi mein ro diya, bina bataye hm sbko wo chod gaya...
Written by: Kushal Bhatnagar (piku)
Comments
Post a Comment