About Us

Poetry, Short story writing & some thoughts on societies. If you have any query regrading Site, Advertisement and any other issue, please feel free to contact at blogquery06@gmail.com

Privacy Policy

https://docs.google.com/document/d/e/2PACX-1vTXcsu9W2IwiV18gzoMUdNhOdT1UwzE7JOEJjq_9b-rYIZ02m-Tqs9h6yRl1S1IV-ycO_K_iejnr9AN/pub

My Instagram

https://www.instagram.com/dysphoria_writer/

Contact Form

Name

Email *

Message *

Skip to main content

Ki mai Parai hu !!!

Image result for ladkiya parai hai pics


Jab janam hua tha to yeh na pata tha ki mai parai hu,
Ungli pakad chali thi tb bi na pata tha ki mai parai hu,
School ke baste kandhe pe uhtaye chali thi mai,
Pir bi na pata tha ki mai parai hu,

Jab palke bhigi thi apne se juda hokar,
Tab jake pata chala ki mai parai hu,
Aakhir qq hum ladakiya parai hai,
Humne aisa kya gunah kiya jo apna ghar chod dusre ke ghar bas jaye,

Gunaah kya ladki hona hai,
Ya gunah iss samajh mai rehna hai,
Jo hame bar bar yeh he sikhata hai ki hum parai hai,

Samaj yeh qq nai sikhata ki hum parai nai hai hum to jannat hai iss dharti ke liye jisse khuda ne banaya hai,

Aab bahut bura lagta hai jb ek ghar se hum dusre ghar jate hai,
Usse apne hathon se swarg banate hai,
Usse sawarte hai,
Usse apna mante hai,
Par kya wo ghar hamein apna manta hai,
Nahi na...

Pir qqq hum aise ghar jaye jha hamari kadar nahi,
Jaha hamara maan samman nahi,
Jaha hamari koi pehchan nahi,

Qq jaye hum aise ghar jaha koi apna nahi,
Jaha dekha kabhi koi sapna nahi,
Jaha ke armaan jhutthe hai,
Kasme waade tod sab ruthe hai,

Qq jaye hum wo ghar,
Jaha na koi baitha farishta hai,
Jaha kisi se na koi rishta hai,
Jaha sirf apno ka khel hai,
Jaha kisi se na milta koi prem hai,

Qq jaye hum wo ghar,
Jaha jivan adhura hai,
Karta na koi pura hai,
Maan samman ki batein chodo,
Par puchta na koi dahi-chura hai,

Qq jaye hum uss ghar,

Parr qq aaye hum uss ghar bhi,
Jaha milta na koi samman hai,
Jaha karte log sirf apmaan hai,
Samajhta na koi dard hai,
Na koi rehta humdard hai,
Sab bolte badchalan hai,
Karte sab jalan hai,

Hoti padosiyo mai baat hai,
Aaayi sasural se yeh bhaag hai,
Iska waha koi kadar na tha,
Par rehti wo waha din raat hai,
Hoti aise padosiyo mai bat hai,

Par mera to ghar tuta hai,
Mujhse sara jaag rutha hai
Meri ammi bi ab meri na rahi,
Kher papa ki bat he kuch aur hai,
Bhai bi dete taane hai,
Bhabhi banati bahane hai,
Sabko lagta hai mai insab se anjaan hu,
Par mujhko sab gyat hai,
Jo hoti pith piche meri baat hai,

Beti hamesa se parai hai,
Chahe wo kisi ke ghar ki qq na ho,
Wo chahe kahi ke deep ki ujiyara qq na ho,
Chahe wo kahi ka tuta tara qq na ho,

Par wo hamesha hoti badnam hai,
Qq ki betiyaa ghar ki na hoti shaan hai....




Pihoo...
DIL KI BAAT
Kuch khaas nai bacha hai janne ko, Bas yeh samajh lo hame hamare apno ne aaj iss mukam pe khada kiya hai...

Comments